Skip to main content

Horoscope Analysis Report By ASTROLOGER

Rashi Ratna Jyotish

Rashi Ratna Jyotish, Rashi ratno ki jaankari, bhagyashaali ratn, ratno ke rang, kab pahle kaun sa ratna jyotish ke hisab se.
gems in astrology, rashi ratn astrologer
Rashi Ratna Jyotish

Rashi ratn humare jivan me bahut mahattw rakhte hain, ek achha ratn humare jivan ko badal sakta hai wahi ek kharab ratn hume bahut nuksaan panhucha sakta hai. 
Kuch log ratno ke gyaan na hone se man marji se koi sa bhi ratn dharan kar lete hain jo ki galat hai. Har ratn apne aapme ek vishesh urja ka pratinidhi hai aur sharer me galat urja ko badhaane se vibhinn prakaar ke rog ya vikaar utpann ho sakte hain. Atah humesha achha jyotish se salaah karke hi ratn dharan karnaa chahiye. 

Ratno ke Praakar:

Har grah kea lag alag ratn rahte hain jo ki nimn hai:
  1. Moonga/Coral
  2. Heera/diamond
  3. Panna/emerald
  4. Moti/Pearl
  5. Manik/Ruby
  6. Pukhraaj/Yellow sapphire
  7. Neelam/Blue sapphire
  8. Gomed/Hessonite
  9. Lehsunia/Cat’s eye

Aaaiye jante hai Ki kaun se Rashi Ka Kaun Sa Ratn Hota Hai:

1. Mesh Raashi/Aries Zodiac ke logo ke liye Moonga thik rahta hai, munga ko angreji me Coral kahte hain.
Mesh raashi ke naam nimn aksharo se shuru hote hain - Chu, Choo, Che, Chay, Cho, La, Lha, Li, Lee, Lhi, Lu, Loo, Lhu, Le, Lay, Lo, A
Mesh raashi ka swami grah Mangal ya Mars hai.
Munga ka rang narangi ya fir thoda laalima liye hue hota hai.
Moonga ko Anamika ungli me dharan kiya jata hai.
Is rashi ratn ko mangalwar ya fir Tuesday ko dharan kiya jata hai.

2. Vrishabh Rashi ya fir Tauras Zodiac logo ke liye heera ratn thik rahta hai, Hire ko angreji me diamond kahte hain.
Vrishabh raashi ka swami grah shukra hai.
Vrishabh raashi walo ke naam nimn aksharo se shuru hote hain - U, Oo, Ae, E, Oh, Ou, Va, Ba, Bee, Bi, Vee, Wee, Vi, Wi, Vu, Voo, Wu, Bu, Boo, Woo, Vey, Vay, Way, Wey, Be, Vo, Wo,
Heera ek pardarshi ratn hota hai kaanch jaisa parantu ye bahut thos hota hai aur chamakdaar bhi hota hai.
Heera ratn shukrawaar ko dharan kiya jaata hai.
Ise anguthe me ya fir madhyama ungli me dharan karte hain.

3. Mithun rashi ya fir Gemini zodiac logo ke liye emerald ya fir panna ratn shubh rahta hai. Mithun raashi ka swami grah budh hai.
Mithun rashi walo kenaam nimn aksharo se shuru hote hain- Ka, Ki, Ke, Ku, Gh, Ch, Ch, Kay, Ko, Ha
Panna ratn hare rang ka hota hai aur bahut ache kism ke emerald paardarshi ya transperant hote hain.
Is ratn ko budhwaar ya wednesday ko dharan kiya jaata hai.
Panna ratn ki anguthi ko sabse chooti ungli(kanishtika) mai dharan kiya jata hai.

4. Kark rashi ya fir cancer zodiac ke logo ke liye moti ya pearl ratn shubh rahta hai. Is raashi ka swami grah chandrama hai.
Kark rashi walo ke naam nimn aksharo se shuru hote hain - Hi, Hu, Hey, Ho, Da, Di, De, Du, Do

Moti ratn safed color ka hota hai aur kuch moti halke cream color ke bhi hote hain.
Pearl ko somwar ke din dharan kiya jaata hai little finger me.

5. Singh raashi ya fir leo zodiac ke logo ke liye manikya ratn shubh rahta hai, is raashi ke swami grah surya hai.
Kark raashi walo ke naam nimn aksharo se shuru hote hain - Ma, Mi, Mu, May, Me, Mo, Ta, Ti, Tu, Te
Manikya ratna ka rang gulabi hota hai. Aur is ratn ko anamika me dharan kiya jata hai.

6. Kanya rashi ya fir virgo zodiac ke logo ke liye panna ratn shubh hota hai. Is raashi ke swami grah budh hai.
Kanya raashi ke naam nimn aksharo se shuru hote hain - To, Pa, Pi, Pu, Pe, Pom Sha, Ana, Th
Panna ratn hare rang ka hota hai aur bahut ache kism ke emerald paardarshi ya transperant hote hain.
Is ratn ko budhwaar ya wednesday ko dharan kiya jaata hai.
Panna ratn ki anguthi ko sabse chooti ungli(kanishtika/little finger) mai dharan kiya jata hai.

7. Tula rashi ya fir Libra zodiac ke logo ke liye heera ratn thik rahta hai, Hire ko angreji me diamond kahte hain.
Vrishabh raashi ka swami grah shukra hai.
Vrishabh raashi walo ke naam nimn aksharo se shuru hote hain - Ra, Ri, Ru, Rey, Ray, Ro, Ta, Tii, Tu, Te
Heera ek pardarshi ratn hota hai kaanch jaisa parantu ye bahut thos hota hai aur chamakdaar bhi hota hai.
Heera ratn shukrawaar ko dharan kiya jaata hai.
Ise anguthe me ya fir madhyama ungli me dharan karte hain.

8. Vrischik Rashi ya fir Scorpio zodiac logo ke liye moonga ratn shubh rahta hai, munga ko angreji me Coral kahte hain.
Mesh raashi ke naam nimn aksharo se shuru hote hain - To, Na, Ni, Nu, Ne, No, Ya, Yi, Yu, Yoo
Mesh raashi ka swami grah Mangal ya Mars hai.
Munga ka rang narangi ya fir thoda laalima liye hue hota hai.
Moonga ko Anamika ungli me dharan kiya jata hai.
Is rashi ratn ko mangalwar ya fir Tuesday ko dharan kiya jata hai.


9. Dhanu rashi ya fir Sagittarius zodiac ke logo ke liye pukhraaj ratn shubh hota hai, pukhraaj ko English me yellow sapphire kaha jata hai.
Dhanu rashi ka swami grah guru hai.
Dhanu raashi ke logo ka naam nimn aksharo se shuru hota hai - Ye, Yo, Bha, Bhi, Bhu, Bhe, Pha, Fa, Dhaa, Dh
Pukhraaj ratn ka rang pila hota hai au rise guruwaar ya fir Thursday ko dharan kiya jata hai.
Guru ke ratn pukhraaj o index finger me dharan kiya jata hai.

10. Makar raashi ya fir Capricorn zodiac ke logo ke liye neelam ratn shubh hota hai, ise English me blue shapphire kahte hain.
Maker rashi ka swami grah shani hai.
Maker raashi walo ke naam nimn aksharo se shuru hote hain - Bho, Ja, Ji, Kha, Khee, Khu, Kho, Ga, Gi.
Neelam ka rang neela hota hai aur is ratn ko dharan karne ka shubh samay shaniwaar hota hai.
Neelam ko madhyama ya fir middle finger me dharan kiya jata hai.

11. Kumbh raashi ya fir Aquarius zodiac ke logo ke liye neelam ratn shubh hota hai, ise English me blue shapphire kahte hain.
kumbh rashi ka swami grah shani hai.
Kumbh raashi walo ke naam nimn aksharo se shuru hote hain - Gu, Goo, Gey, Gay, Go, Da, Sa, see, soo, se so.
Neelam ka rang neela hota hai aur is ratn ko dharan karne ka shubh samay shaniwaar hota hai.
Neelam ko madhyama ya fir middle finger me dharan kiya jata hai.

12. Meen raashi ya fir pisces zodiac ke logo ke liye pukhraaj ratn shubh hota hai, pukhraaj ko English me yellow sapphire kaha jata hai.
Meen rashi ka swami grah guru hai.
Meen raashi ke logo ka naam nimn aksharo se shuru hota hai - Di, Du, Do, Cha, Chi, Th, jh, tr.
Pukhraaj ratn ka rang pila hota hai au rise guruwaar ya fir Thursday ko dharan kiya jata hai.
Guru ke ratn pukhraaj o index finger me dharan kiya jata hai.

ऊपर हमने देखा की कौन से राशी के कौन से रत्न है और उनको धारण करने का कौन सा वार है और उनके रंग कैसे होते हैं.

नोट: किसी भी रत्न को धारण करने से पहले किसी अच्छे ज्योतिष से सलाह अवश्य ले अपनी कुंडली दिखा के.

Rashi Ratna Jyotish, Rashi ratno ki jaankari, bhagyashaali ratn, ratno ke rang, kab pahle kaun sa ratna jyotish ke hisab se.

Comments

Popular posts from this blog

Are You Mangalik, Check Online?

Mangal Dosha Analysis by astrologer, Manglik Calculation, marriage match making and mangal calculation as per vedic astrology.  In Indian astrology, there are various factors which are used to decide life partner and one of the very important issue is checking Mangalik dosha in horoscope. It is a belief that if there is a mangal in horoscope of any one then it is necessary to choose a person who also have mangal in kundli to live a happy and healthy life. Are You Mangalik, Check Online? Are you having mangalik yoga in your horoscope, know about it by reading this article, here you can know about how mangalik yoga is calculated by reading horoscope also you can consult astrologer for minute analysis of kundli for marriage.  What is Mangalik dosha as per Indian astrology? This is also known as kuja dosha/mangal dosha/bhom dosha/ chovva dosham. In different region, people know this with different words. How to Check Your Own Kundli To Know About whether You are Man

Horoscope Analysis Report By ASTROLOGER

Horoscope report by one of the best astrologer in India, minute analysis report from  astrologer, Career report, marriage life report, personality report, Best astrology ways to make life fruitful from astrologer. Horoscope Analysis Report By ASTROLOGER " Astrologer " is one of the best astrology provider website through which one can take best astrology services online. Astrologer is providing astrology services for the last 15+ years and made a name in the world of astrology. Astrologer is providing his best consultancy in the field of birth chart analysis, horoscope reading, prediction, diseases solutions, love marriage problems solutions, divorce problems solutions, career problems solutions, Black magic analysis and remedies etc. Astrologer is bringing to you a unique Horoscope Report which contains different aspects of your horoscope/birth chart/kundli.  This horoscope report is made by astrologer himself and will contains the following important th