Skip to main content

Horoscope Analysis Report By ASTROLOGER

Astrology Reasons and Remedies Of STRESS in Life

What is tension or stress, astrology reasons of stress or tension, impacts of stress, how to overcome from tension and frustration through astrology?.
stress remedies through astrology, reasons of tension and solution in jyotish
Astrology Reasons and Remedies Of STRESS in Life
Tanaav ek aam baat hai parantu jab koi tanaav me lagataar rahne lagta hai to isse health par bahut bura asar hota hai. Atah ye jaruri hai ki tanaav se bahar aane ke liye jaruri kadam samay par uthaaya jaaye.

Tanaav kai karano se logo me paida hota hai jaise ki –

  • Galat kaam karne wale ke man mastishk me tanaav rahta hai.
  • Kisi ko karyo me safalta nahi milne ke karan tanaav ho jata hai.
  • Koi vyakti sambandho me khataas hone ke karan tanaav me aa jata hai.
  • Kuch log dhan sambandhi samasya se jujhne ke karan tanaav me aa jate hain.
  • Kuch log prem me asafal hone ke karan tanaav me jeene lagte hain.
  • Kuch log rojgaar ko leke tanaav me rahte hain.
Jyotish ke dwara hum jivan ke anek rahasyo ko samajh sakte hain parantu iske liye kundli ka analysis karna jaruri hota hai. 
Is lekh me hum tanaav ya stress ke jyotishiy karano ko dekhenge aur uska samadhaan bhi janenge.

Aaiye jante hain ki tanaav ya stress kaise jivan ko prabhavit karta hai?

  1. Tanaav ke karan chehre ki sundarta kam hone lagti hai. 
  2. Stress se memory bhi kamjor hone lagti hai. 
  3. Isse sampatti ki haani hone lagta hai. 
  4. Tanaav se mansik shanti ka abhaav ho jata hai. 
  5. Tanaav se parivaar ke sadasyo ke saath sambandh bhi kharab hone lagte hain.
  6. Jatak ke kaamkaaji jivan par bahut kharab asar hota hai.

Aaiye ab jante hain ki tanaav ke jyotishiy karan kya ho sakte hain?

  • Agar kundli me lagn dooshit graho dwara prabhavit hai to iska asar jatak ko bhogna hota hai aur use tanaav hota hai. 
  • Agar lagn ka swami shatru raashi ke saath baitha ho kundli me to bhi jatak ko stress se gujarna hota hai.
  • Agar lagn me shatru raashi ke saath koi grah baith jaaye to to stress paida karta hai.
  • Agar kundli me Chandra graham ya surya graham yog bane to bhi tanaav utpann karta hai. 
  • Agar kundli me graho ki sthiti kamjo ho to bhi jatak ko asafalta prpt hoti hai aur jivan me tanaav utpann hota hai. 
  • Kundli me agar chandrama neech ka hoke baitha ho to bhi stress dega. 
  • Shatru grah ki mahadasha aur antardasha me bhi tanaav badhta hai jivan me. 
Atah tanaav ya stress ke kai karan ho sakte hain, ek achha jyotish aapki kundli dekhke aapko sahi karan aur samadhaan bata sakta hai. 

Remedies Of Stress/ Tanaav ke Jyotishiy Samadhaan:

Kuch saral upaay humare jivan se tanaav ko kam kar sakte hain, aaiye jane kuch saral aur shaktishaali upaay.
  1. Roj nahaane ke samay apne sar par jal ki dhaara daalte hue “Om namah shivay” mantra ka jap kare.
  2. Agar kundli me chandrama ashubh hai to somwar ka vrat kare.
  3. Agar Chandra kamjor ho to moti dharan kare. 
  4. Somwar ko shivling ka abhishek kheer se kare aur prarthna kare. 
  5. Ghar me kisi mahila ko pareshaan na kare.
  6. Ratri ko sone se pahle gungune garm paani me namak daalke apne dono paanwo ko usme daliye. 20 se 30 minut tak dale rakhiye. 
  7. Smay samay par Out door activities ke liye jaya kare jaise trekking, picnic etc. 
What is tension or stress, astrology reasons of stress or tension, impacts of stress, how to overcome from tension and frustration through astrology?.

Comments

Popular posts from this blog

Are You Mangalik, Check Online?

Mangal Dosha Analysis by astrologer, Manglik Calculation, marriage match making and mangal calculation as per vedic astrology.  In Indian astrology, there are various factors which are used to decide life partner and one of the very important issue is checking Mangalik dosha in horoscope. It is a belief that if there is a mangal in horoscope of any one then it is necessary to choose a person who also have mangal in kundli to live a happy and healthy life. Are You Mangalik, Check Online? Are you having mangalik yoga in your horoscope, know about it by reading this article, here you can know about how mangalik yoga is calculated by reading horoscope also you can consult astrologer for minute analysis of kundli for marriage.  What is Mangalik dosha as per Indian astrology? This is also known as kuja dosha/mangal dosha/bhom dosha/ chovva dosham. In different region, people know this with different words. How to Check Your Own Kundli To Know About whether You are Man

Horoscope Analysis Report By ASTROLOGER

Horoscope report by one of the best astrologer in India, minute analysis report from  astrologer, Career report, marriage life report, personality report, Best astrology ways to make life fruitful from astrologer. Horoscope Analysis Report By ASTROLOGER " Astrologer " is one of the best astrology provider website through which one can take best astrology services online. Astrologer is providing astrology services for the last 15+ years and made a name in the world of astrology. Astrologer is providing his best consultancy in the field of birth chart analysis, horoscope reading, prediction, diseases solutions, love marriage problems solutions, divorce problems solutions, career problems solutions, Black magic analysis and remedies etc. Astrologer is bringing to you a unique Horoscope Report which contains different aspects of your horoscope/birth chart/kundli.  This horoscope report is made by astrologer himself and will contains the following important th

Rashi Ratna Jyotish

Rashi Ratna Jyotish, Rashi ratno ki jaankari, bhagyashaali ratn, ratno ke rang, kab pahle kaun sa ratna jyotish ke hisab se. Rashi Ratna Jyotish Rashi ratn humare jivan me bahut mahattw rakhte hain, ek achha ratn humare jivan ko badal sakta hai wahi ek kharab ratn hume bahut nuksaan panhucha sakta hai.  Kuch log ratno ke gyaan na hone se man marji se koi sa bhi ratn dharan kar lete hain jo ki galat hai. Har ratn apne aapme ek vishesh urja ka pratinidhi hai aur sharer me galat urja ko badhaane se vibhinn prakaar ke rog ya vikaar utpann ho sakte hain. Atah humesha achha jyotish se salaah karke hi ratn dharan karnaa chahiye.  Ratno ke Praakar: Har grah kea lag alag ratn rahte hain jo ki nimn hai: Moonga/Coral Heera/diamond Panna/emerald Moti/Pearl Manik/Ruby Pukhraaj/Yellow sapphire Neelam/Blue sapphire Gomed/Hessonite Lehsunia/Cat’s eye Aaaiye jante hai Ki kaun se Rashi Ka Kaun Sa Ratn Hota Hai: 1. Mesh Raashi/Aries Zodiac ke logo ke liye Moonga thik rahta ha